Urdu Tips For Hair

Urdu Tips For Hair

Source:- Google.com.pk

Bal Lambay,Chamkelay,Ghunay Aur Masbot Karnay Ki Tarkeeb:
Berie kay petay lay kar in ko bareek pees lain, jhaaag nekal kar 20 minutes tak sir main khoob malain aur phir sir dholain. Soap ka istamal na karain. Iss say bal chamkelay, ghunay aur lambay ho jaing ge.
Sirsoon ki khulli bhi sir kay balloon kay liay bohat mufeed hai.sir dhonay say 2 hours qabal pani mai bheegi hui sirsoon ki khulli ka pani nithar kar sir dholain. Amla dry,ritha aur berie kay petay hum wasan lay kar 4 tola pani mein josh day kar thanda kar kay rakh ligiay , iss say har 3 roz bal dhonay say bal lambay aur kaallay ho gatay hain.
Bal dhonay say 1 ghunta pahilay in mei oil laganay say bal mullaim aur musboot hotay hain. Sir dhonay say pahilay sir ko bhaamp dain, 2-3 towels lay kar in ko garam pani mei tar kar kay bari bari sir par rakhain, iss kay forun baad garam zaitoon ka oil sir mei lagain aur sir ki malish karain.phir shampoo say sir dholain. yeh amal week mei 2 bar zaroor karain. Sir dhonay say 2 hours pahilay baloon ki roots mei dahi lagalain aur iss say achi tarhan malish karain, 2 hours ka baad baloon ko kissi achay shampoo say dholain. Sonay say qabal aik paao doodh mei chund qatray badam ka oil aur cheeni mila kar pinay say baloon ka safaid hona rokh jata hai. Sikkakaii, mash ki daal aur methi pees kar iss say sir dhonay say bal ziada nahi girtay aur baloon ka safaid hona bhi khatum ho jata hai.
Raat ko sonay say pahilay lemoo ka rus aur iss kay hum wasan glycerin lay kar baloon ki root mei lagain aur subha ko sir dholain. Narial (coconut) oil mei lemoo ka rus milakar istamal karnay say balloon ko chumkdar banaya jasakta hai. Dahi mei thoda sa meetha oil dal kar sir dhonay say 30 min qabal khoob muliay aur phir neem garam pani say dholain,tamaam khushki dor hojaige. Raat ko sonay say qabal sir mei zaitoon kay oil ki malish karain aur subha sir dholain. Sar ke bal (hair) insan ki shakhsiat aur khubsurti (beauty) main numaya kirdar ada karty hain. In ki hifazat aur banawat is lehaz se aham tawaju ki hami hai. Khas kar khawateen apni balo ki hifazat ke mamly main buhat hasas hoti hain, aur nat nae tareeqy azmati hain ke in ke bal chamakdar aur khubsurat lagy ta ke in ki shakhsiat main nikhar ay. Hum yahan balon ki hifazat (hair care) ke chand tareeqay aur gharelo totkay beyan kar rahy hain jin ko apnany se ap ko buhat faida hoga.

Baalon Ki Hifazat Ke Totkay:
Badam ka tail aur gheghwar baraber miqdar main le ly aur is main vitamin c ki capsole ghol ley aur is amaze se balo main halka halka massage kary aur pher chaar(4) ghanto tak laga rahny dein. Ab in balo ko achi tarah dho ke khuskh kar ly. Alovera kat ke piece lay, aur thora sa pani mila ke chan lyn. Ab is ko kisi tail main mila ke balo pe lagae aur ak ghanty bad dho lay. Adha pao sabat dhania, adha pao dana meethi, adha pao sonf aur pachas gram kopra le ke achi tarah piece lyn aur adha kilo sarsun ke tail main mila ke teen ghanto tak halki anch pe pakae aur chan ke tail thanda kar lyn. Is tail ka massage hafty main ak bar buhat mufeed sabit hoga.
Mahandi ke patay piece kar do khany ki chamach jitni meqdar main lyen aur zara si dahi, ak anda aur lemo ke chand qatry is main mila ke balon main ak adha ghanta lagany ke bad achi tarah dho lyn.
Dana methi pachas garam le ke isko pani main bhego dyn, jab do se teen din main kompale photny lage tau isy piece layn.  Aur ak pao dahi main teen khany ke chamach methi ka ameeza shamil kar ke adha ghanta balon pe laga ke dho lyn.
Badam aur dhanye ka tail baraber meqdar main le ke balon main lagae aur 15 minute tak massage kary aur chand qatry zetoon ka tail shamil kar ke mazeed 10 minute tak massage karny ke bad yunhi chor dyn aur do ghanto ke bad bal dho lyn. Yeh totka bhi balon ki hifazat ke totkon main se aik aham totka hai.
Adha kilo chilko wali maash ki daal ko pani main bhagony ke baad sukha lyn.  Ab is main beri ke pate hum wazan le ke piece lyn. Hafty main 2 dafais amezy ko tail main mila ke balo pe lagae ke adha ghanta massage karny ke bad do ghanto ke lye chor dyn aur pher isko dho lyn.

Aghar ap ke baal kisi wajah se kisi masly se do char hai tau ap in tareeqo main se kisi aik tareeqy ko apna ley aur is pe kam as kam ak maheeny tak qaym rahy. Tau he aapko kuch masbat nataij naazar ayn gay. Ak aur acha tareeqy balo ko sehat mand aur chamak dar banay ka yeh be hai kea p tail laga kea k tplia garam pani main dobo k achi tarahh nachor lyn is toliye ko ab sar pee lepat lynn ta  ke tail achi tarah apke balo main jazab ho jae. Is amal ko dohranay se ap khud balo main farq dekh lyn gay.


Urdu Tips For Hair
Fall  For Hair Growth 

Urdu Tips For Hair
Fall  For Hair Growth 

Urdu Tips For Hair
Fall  For Hair Growth 

Urdu Tips For Hair
Fall  For Hair Growth 

Urdu Tips For Hair
Fall  For Hair Growth 


Urdu Tips For Hair
Fall  For Hair Growth 


0 Comments