Dieting Tips In Urdu
Source:- Google.com.pk
1: Wazan Kam Karne Ka Tareeqa: Wazan kam karne ke liye sub se pehle zaroori hai ke aap zayada se zayada pani piyain sabz chai ka istemal apni khorak ka hisa bana lain. Din mein 3 cup sabz chai zaroor piyain jitna khana aap 3 waqt khate hain us khane ko aap 5 hison mein taqseem karain aur 5 waqt khayain. Is se aap ka nazam hazam theek ho ga. Chikni cheezon se parhaiz karain. Gosht na khayain balkeh vegetables aur fruits zayada istemal karain. Bakery ki cheezain aur chocolates bilkul na khayain. 30 minute warzish karain ya koi aisa kheel kheelain jis se aap ka jism musalsal harkat kare. Khane ke baad foran na so jayain balkeh sone se 2 hours pehle khayain.
2: Wazan Kam Karne Ke Totke:Aik glass neem garam pani mein 1 chamach shehad daal kar daily subah saweere piyain.
Adha glass kareelay ke juice mein 1 lemon ka rus daal kar subah saweere peene se wazan kam hota hai.
Rozana subah khali pait 1 ya 2 tamatar khane se bhi motapa kam hota hai.
Tazah gajar ka juice lain us mein thora sa pani shamil karain aur blender mein daal kar mix kar lain phir usay din mein 1 dafa pee lain. 3 months mein aap ka wazan kam ho jaye ga.
Band Gobhi ka salad istimal karain. Ya band gobhi boil kar ke use karain.
3: Aik Aur Sahi Tareeqa Wazan Kam Karne Ka:
Aap sub se pehle un ghazai ajza ka jaeza lain jo aap mukhtalif auqat mein nosh karte hain. Yani ye dekhain ke aap din bhar mein kitna aata, chawal, cheeni, chiknai wagera khate hain. Un mein se har juz mein kitni calories hoti hain maslan din bhar mein aap jitni roti khate hain us ke majmue wazan mein kul kitni calories hoti hain. Isi tarah har cheez ki calorie ka andaza kijiye. Hae insan ko us ki ghaza se rozana ausatan 2500 calories milni chahiyain. Aisay afrad jub warzish mein karte tou woh motay hone lagte hain. Apne wazan mein kami karne ke liye un logon ke liye zaroori hai ke woh us diet mein 400 se 600 calories rozana kam kar dain is ke liye rozana apni diet ka jaeza laina ho ga. In mein yaqeenan baaz ajza aisay hon ge jinhain woh tark ya un ki maqdar kam kar ke 400 se 600 calories ki kami kami kar sakte hain. Behtar ye hai ke din bhar mein sirf 2000 hararon wali diets khayain.
Is ka sub se bara faida ye ho ga ke jism ghazai ajza se yakbargi mehroom nahin ho ga, is ke najeetay mein kamzoori bhi mehsoos nahin ho gi aur na bhook ki shiddat sataye gi. Mahireen ke mutabiq ghazai ajza mein kami se batadreej calories ki maqdar ghatti jaye gi. Par ye zaroori hai ke 1200 calories daily jism ko milti rahain. Is mein mazeed kami se aap ghazai qilat ajza ka shikar ho jayain gey jis se kharab asrat jism par muratab hon gey.
Apni ghaza mein is zaroori rad-o-badal ke sath sath healthy diets par tawaja dain maslan kam chiknai wali ghazain khayain, puri parathay, samosay aur tali hoi ashya ko hath na lagayain. Chai, coffee, soft drinks se bachiye naiz namak aur cheeni ki maqdar kam se kam kijiye. Anday ki zardi, balai wala doodh, khoya, makhan, mithai wageera tark kar ke tazah phal, sabziyan, fish, baghair charbi ke murghi istemal kijiye.
In hidayat par sakhti se amal karain lekin ye khayal bhi zehan se nikal dain ke kam calories wali diets aap ko zindagi bhar khani hai kyoun ke wazan kam ho jane ke baad ye zaroori nahin hota, bashartay ke aap isi doraan warzish ke aadi ho jayain. Warzish ke silsile mein mahireen ne taweel mushahidat ke baad ye asool waziha kiya hai ke warzish bhi batadreej karni chahiye. Pehle din se hi sakht warzish kar ke weight kam karne ki tawaqa rakhte hain. Warzish ki maqdar mein ahista ahista izafa karna chahiye. Is tarah is ke asrat dair pa hotay hain. Agar aap kisi arza mein mubtala hon tou pehle doctor se mashwara kar lain aur us ke mashware ke mutabiq exercise karain. Exercise aisi aur itni honi chahiye ke us se aap ko paseena ajaye. Aap ko batadreej is qabil hona chahiye ke rozana 30 se 45 minute tak warzish kar sakain. Aisi warzish aap haftay mein matwatar 5 din karain. Is silsile mein teez chalna, dorna cycle chalana teerna wagera motay afrad ke liye munasib tareen warzish samjhi jati hain.
Soch samajh kar warzish ke intikhab ke baad ye baat achi tarah zehan nasheen kar lijiye ke aap warzish ko kabhi bojh na samjhain gey balkeh aap isay apni daily routine ka aik hisa qarar dain. Warzish pabandi se karain aur khud ko is sislile mein dhoka dene ki koshish se gurez kijiye. Isay kaam ki bajaye kheel samajh kar jari rakhain. Is tarah aap zindagi bhar apne wazan ko mehfooz had par rakhne mein kamyab rahain gey.
Yahan aik baar phir ye batana munasib ho ga ke donon kaam yani yani ghazayain calories mein munasib had tak kami aur warzish mein izafa hona chahiye is tarah aap ka jism, pathay aur jor wagera zindagi ke is naye andaz ke mutabiq khud ko dhalte jayain gey. Ye baat bhi achi tarah zehan nasheen kar lain ke aap aik din mein motay nahin hue hain is liye aap aik din mein dubla patla bhi nahin hon gey. Kam az kam chand months tou aap ko is programe par amal karna chahiye. Pehle month rozana 1 mile paidal chalain. 2nd month mein 2 mile chaliye aur isi tarah distance barhtay jayain. Warzish ko apni zindagi ka aik khushgawar aur lazmi juz banane ke liye aap ko 1 year tak himat aur istiqamat se kaam lena ho ga is ke baad aap is kheel ke baghair bechain rehne lagain gey. Is arsay mein aap ka jism matluba wazan hujam bhi hasil kar le ga.
Wazan mein kami ke baad warzish ke sath aap apni pasandeeda diets bhi kha sakain gey aur wazan mein bhi izafa nahin ho ga, kyoun ke warzish ki wajah se extra calories ke charbi mein tabdeel hone ka imkan khatam ho jaye ga.
Urdu Tips for Health For Marriage First Night For Dry Skin For Pregnancy For Hair
0 Comments