Make Up Tips In Urdu Definition
Source:- Google.com.pk
Asia ko Khuda nay khoobsoorti say malamaal bnaya hai aur yaheen per Pakistan bhi hai. Pakistan bhi duniya kay khoobsooraat tareen mumalik mein shumaar kia jata hai. Aik taraf qudrati khoobsoorti ki baat hai tou doosri taraf insaano ki khoobsoorti. Pakistani khawateen bhi duniya bher mein apni dalkashi ki wajha say mashhoor hain. Qudrat nay Pakistani aurat ko bohut haseen bnaya hai. Mager in haseen khawateen ko bhi makeup ka sahara laina perta hai.
Duniya bher mein mukhtalif tareeqoon say makeup kia jata hai. Isi terha Pakistan mein bhi makeup ka apna andaaz hai. Makeup kay kai andaaz hain aur duniya bher say mukhtalif terha ka makeup apnaya jata hai. Pakistan mein bhi isi terha. Bay shumaar iqsaam ka makeup kia jata hai. Mager aam taur per Pakistan mein khawateen halkay phulkay andaaz ka makeup kerti hain. Zail mein Pakistani andaaz e bnaao singhaar kay baray mein kuch tafssel hai:
Aam taur per Pakistani khawateen gandumi rangat ki hoti hain iss liye thori si foundation say hee kaam chal jata hai. Mager phir bhi foundation laganay kay liye zaroori hai keh aap jild ki rangat kay hisaab say foundation lagain. Garam mausam ho tou face powder lagana na bhoolain. Issi terha ager dagh dhabbay ziada hoon tou concealer ki madad lain. Pakistani aab o hawa achi hai iss liye yahan ziada ter khawateen ki jild bhi bay hadd achi aur pur kashish hoti hai.
Eye makeup bay had halka pasand kiya jata hai. Kiyun kay halka makeup hee natural look daita hai aura am taur per khawateen halka makeup pasand kerti hain. Haan mager shadi bayah ya parties wagaira mein gehra makeup bhi kiya jata hai.
Eye liner hamesha aankh ki shape kay hisaab say kiya jata hai. Akser bareek eye liner lagay jata hai. Mager kuch khawateen aur larkiyaan mota eye liner laga ker apni aankhoon ko mazeed khoobsoorat bnana pasand kerti hain. Mota eye liner glamorous look daita hai iss liye amooman parties mein lagaya jata hai. Blush on bhi neutral colors ka lagana pasand kiya jata hai. Raat ka waqt ho tou shimmer lagnay ko terjeeh di jati hai. Ziada ter peach aur pink blush on lagana behter samjha jata hai.
Lipstick kay bhi her terha kay shades lagaye jatay hain. Mager chehray ki munasibat ka dayhaan rakha jata hai. Akser red, brown ya pink color kay mukhtalif shades istemaal kiye jatay hain. Mager jiddat ki wajha say bohut say gair mamooli colors ka istemaal bhi kiya jata hai. Wohi baat, waqt aur mauqay kay aitebaar say aur libas kay rung ki munasibat say lip color ka intekhaab kiya jata hai. Aaj kal lip gloss ka istemaal bhi kasrat ki kiya jata hai. Raat kay waqt kisi taqreeb mein jana ho tou gehray aur bharkeelay shades pasand kiye jatay hain.
Isi terha ager aap ko bahar jana ho, koi taqreb ho, dostoon say milna ho ya koi bhi function, aap makeup kay zariye haseen dikhaai daina chahti hai. Libas ka intekhab bhi daikh bhaal kay kerti hain, Kiyun kay garmi kay mausam yani summer mein paseena aur name apko pareshaan rakhti hai. Iss liye halka phula makeup karain aur light colors ka intekhaab karain. Iss terha aap sari mehfil ki jaan bun sakti hain. Ajj hum apkay sath garmiyoon yani summer kay layhaaz makeup tips share ker rahay hain. Umeed hai apko faida ho ga:
Hamesha water base, pan cake ka istemaal karain. Yeh dair tuk barqaraar rehti hai aur apko baar baar theek nahi kerna perta. Base ka ziada istemaal na karain. Jitna neutral make up ho ga utna hee acha lagay ga.
Blush on ka istemaal zaroor karain. Iss say chehra khila khila nazer ata hai. Light pink, peach aur pink rose color ka istemaal bhala lagta hai. Apka chehra roshan aur chamak daar nazer ata hai.
Eye makeup kay liye bhi gehray shades ka istemal na karain. Garmi kay mausam mein jitna nude shades ka istemal ho ga utna he ap haseen nazer ain gi. Raat ka koi function ho tou shimmery eye shades ka istemaal kia ja sakta hai Mager din kay waqt light shades he bhalay lagtay hain.
Eye makeup kay baad bareek eye liner lagain tou aankhain aur haseen aur khushnuma lagain gi.
Iss kay baad mascara lagain. Eye lash curler ka istemaal bhi behter rehta hai. Mascara water proof hona chahiye. Taa kay paseenay aur nami say who phail na jaye.
Lipstick kay gehray shades bhi hargiz na lagain. Garami mein aur chilchilati dhoop mein gehray rung aankhoon ko achay nahi lagtay. Matte lipstick aur light shades ka intekhaab behter rehta hai. Layhaza halkay rung lagain aur lip gloss say chamak hasil karain. Lip gloss kay intehaai khoobsoorat shades aaj kal market mein miltay hain iss liye ab nihayat asaani say aap achay shades khared ker istemaal ker sakti hain. Jitna ziada aap natural rahain gi utna hee aap haseen nazer aain gi. Makeup ka bay jaa istemal acha nahi lagta aur aap apni umer say bari bhi dikhaai dain gi. Halka aur light make up aapko na sirf acha lagay ga balkay apki umer bhi kum lagay gi. Baaloon ko bhi baandh ker rakhain tou aap garmi say bach sakti hain aur daikhnay mein bhi acha lagta hai. Ooper di gai tips per amal karain aur garam mausam yani summer mein bhi haseen dikhaai dain. Natural makeup apko bay had haseen bnata hai. Iss liye in summer makeup tips per amal karain aur haeen nazer ain.
0 Comments