Makeup Urdu Tips

Makeup Urdu Tips

Source:- Google.com.pk
Khawateen apni khobsoorti ko berhanay kay liye makeup ka istemaal kerti hain. Makeup kay liye munasib alaat ka hona bay had zaroori hai. Iss terha say aap apnay chaehray ki jild ki hifazat ker sakti hain. Kiyun kay chehray ki jils bay had nazuk aur naram o mulaaim hoti hai iss liye iski hifazat per khasoosi tawajjah daini chahiye.
Sub say acha makeup who hota hai jis ko baar baar theek kernay ki zaroorat na paray. Akser khawateen kiyun k naukrii kerti hain iss liye unko sara din tar o taza aur khobsurat nazer ana perta hai. Make up ka sahi istemaal unki yeh mushkil asaan ker sakta hai. Acha makeup kernay k liye zaroori hai k apko pata ho k kaun si makeup ki masnooaat achi aur mayari hain. Tajurbaat kernay say behter hota hai k aap kisi mahir ki madad lain aur apni jild k mutabiq makeup ki masnooaat ka intekhab karain. Bina janay k apki jild kis qisam ki hai ya apki jild k liye kis company aur kaun say shade ki masnooaat theek rahain gi, khawateen akser galat masnooaat khareed laity hain aur phir mushkilaat ka shikaar hoti hain.

Makeup Tips in Urdu:
Zail mein achay makeup ka tareeqa aur sahi istemaal darj hai. Ager apko makeup say mutaliq mashwaray ya rahnumaai ki zaroorat hai tou ap yeh tehreer perh k faida hasil ker sakti hain.

Base/Foundation:
Acha makeup kernay k liye sub say eham cheez base ya make up foundation hai. Ager apki jild daag dhaboon ya kisi bhi qisam k nishanaat say paak hai tou apko sirf aur sirf koi bhi acha moisturizer istemaal kerna chahiye. Ager nahi tou achi foundation ka istemaal bayhadd zaroori hai. Iss baat khaasoosi khayaal rakhna chahiye k aap foundation ko achay tareeqay say chehray per lagain taa kay apki jild yaqsaaan nazer aiye. Yaad rahay foundation ka shade woh ho jo apki chehray ki rangat k hisaab say ho.  Galat shade ka intekhaab apkay liye massial paida ker sakta hai. Iss liye bohut ehtiyaat say foundation kay shade ka intekhaab karain.
Sanwali rangat wali khawateen ko chahiye k who do shades ko mila ker matlooba shade bnaain. Foundation ka sahi istemaal ho tou iss kay baad makeup kerna asaan ho jata hai.

Eye makeup:
Apnay libaas k hisaab say eye shades ka intekhaab karain. Iss kay sath sath yeh bhi khayaal rakhain kay ap woh shade istemaal karain jo apkay chehray aura ankh ki bnawat k hisaab say bhi acha lagay. Do shades ko mix kernay say aankhain khusnuma lagti hain, iss liye achi terha blend kerna bohut zaroori hai. Mager dayhaan rahay gehray shades ka istemaal usi waqt karain jub woh apko achay lagain. Iss kay sath sath Rangoon ka intekhaab mausam aur taqreeb kay hisaab say kerna chahiye.

Lipstick:

Lipstick makeup k liye bay had zaroori cheez hai. Iss kay bagair apka makeup mukammal nahi h sakta. Behter yeh hota hai k ap lipstick ka istemaal dayhaan say karain. Larkiyoon ko halkay rung ki lipstick ya lip gloss ka istemaal kerna chahiye. Iss terha who apni umer say bari nahi lagti. Isi terha khawateen ko bhi lipstick ka shade daikh bhaal k istemaal kerna chahiye. Din ya raat ki taqreeb k liye munasib rung ka intekhaab bayhadd zaroori hai.

Eye Makeup Tips in Urdu

Makeup Urdu Tips

Makeup Urdu Tips in Urdu




0 Comments